Secret Agent -- Surendra Mohan Pathak
Update - 2
" island ki baabat " joint commissioner aage badha," haal hi me ek aur baat bhi ujaagar huyi hai ki Goa ka ek bada racetier vaha mukaam paaye hai. goa me uske kanooni, gairkanooni kayi juve ke adde hai. ab uski najar-e-inaayat Kona-Kona island par huyi hai to koyi badi baat nahi ki vo vaha koyi Swanneck point jaisa bada casino khada karne ke khwaab dekh raha ho "
" sir " DCP Paatil tanik prativaadpoorn swar me bola," Swanneck point Pakistaan ki milkiyat tha, us par hamara koyi jor nahi tha, Bhaarat sarkar vaha chalte kinhi kaaryakalapo ki baabat koyi kadam uthaati to Pakistan halla karne lagta tha aur ushe Pakistani territory par hamla karaar dene lagta tha. nateejtan, majbooran Bhaarat sarkar ko apna kadam vaapis lena padta tha. lekin Kona-Kona island to Bhaarat me hi hai, Cross island, Buchar island, Elephanta island jaise kayi islands ki tarah Bhaarat me hai, vaha kisi govani racetier ki , kisi gambling joint operator ki vaisi pesh kaise chalegi jaisi Pakistan ki sarparasti me badshah Abdul Majeed dalvayi ki Swanneck point island par chalti thi "
" tafteesh ka mudda hai. jo ki hamari aiynda strategy rang laayi to bahut mustaidi se hogi, bahut bareeki se hogi "
" hai koun vo govani racetier " additional commissioner dikshit ne poocha.
" uska naam Fransis magnaro hai. confirm hua hai ki aajkal sthaayi roop se island par mukaam paaye hai aur municipal president Mokashi aur SHO Mahabole se uski khoob gaadhi chanti hai. vo teeno vaha triple M aur trimurti jaise naamo se mashoor hai "
" chor chor mausere bhai " DCP Paatil ke munh se nikla.
" you said it Paatil, ain mere munh ki baat cheen li, bravo "
DCP Paatil shisht bhaav se muskuraaya.
" baharhaal ab suratahvaal ye hai ki hame ek aisa aadmi darkaar hai jo kisi police ya administrative banking ki ummeed na kare, jishe apne loan payer ke role se gurej na ho aur jo sher ki maand me kadam rakhne ka housla kar sake. aisa ek aadmi inspector Mahatre ne apne DCP ko, Nitin paatil ko sujhaaya hai aur Paatil ne uska jikr aage commissioner sahab se aur mere se kiya hai. behtar hoga ki is baabat aage jo kuch bhi kehna hai , vo Mahatre khud kahe, Mahatre "
" yes sir " Mahatre hadbadaya aur fir tatpar swar me bola, saath hi usne uthkar khade hone ki koshish ki.
" no, no " tatkaal joint commissioner bola," keep sitting, you don't have to stand to be heard "
" yes sir, thankyou sir " Mahatre bola, fir jhijhakta, sakuchata aage badha," vo kya hai ki vo bheedu, aadmi, abhi ek saal pehle tak police ke mahakme hi tha, mere thaane me, bole to Grant road thaane me, mere saath SHO tha, corrupt cop tha, bhai logo ke haatho poori tarah bika hua tha, lekin haalaat kuch aise bane ki jabki DCP sahab " usne adab se Paatil ki taraf ishaara kiya," jo ki DCP Deshpaande sahab ke ekaek resign kar jaane ki vajah se tab unki jagah naye-naye aaye the, batour corrupt cop uski shinaakht bhi kar chuke the aur uska suspension order tak taiyaar ho chuka tha, usne sahab ko unhi logo ke khilaaf khada hone ka, jinka ki vo chamcha bana hua tha, aisa majboot iraada dikhaaya ki uska suspension thode arse ke liye rok diya gaya. haalaat kuch aise bane ki jin bhai logo ke haatho vo poori tarah se bika hua tha, unhi ne uske chote bhai ka, jo ki usse 11 saal chota tha, Daadar thaane me sub-inspector tha, ek baahar se bulaaye contract killer se katl kara diya. DCP sahab se vaade ke tahat aur bhai ka badla lene ke iraade ke tahat usne bhai logo ke khilaaf akele hi jihaad chhed diya tha aur unke saath ek face to face shootout me kandhe me goli khaakar gambheer roop se ghaayal hua. usne pakde gaye bhai logo ke khilaaf gavaah banna kabool kar liya isliye vaadamaaf gavaah ka darja paakar saste me chhut gaya, khaali naukari se barkhaast kiya gaya, varna paanch ki to kam se kam lagti "
" correct " joint commissioner bola," vo aadmi hamare kaam ka saabit ho sakta hai... hoga "
" inspector bola " additional commissioner ki bhave uthi," uske kandhe me goli lagi thi, vo gambheer roop se ghaayal hua tha "
" ek saal pehle, parso nahi "
" ji "
" sir " inspector Mahatre jaldi se bola," vo poori tarah se tandurust ho chuka hai. recovery me poore paanch mahine lage the lekin ab vo perfect health me hai "
" good " joint commissioner bola," police ki naukari se gaya, ab kya karta hai, that is agar kuch karta hai to "
" karta hai, aajkal vo Bandra ke ek fancy baar ka security incharge hai "
" fancy naam, security incharge, asal me bouncer hoga "
Mahatre khaamosh raha.
" vo assignment ko fouran haath me lene ki stithi me hoga "
" sir mere khayaal se to hoga "
" tumhaare khayaal se "
" vo maamuli naukri hai, chhod dene se vaisi kabhi fir bhi mil jaayegi "
" lekin tumhaare khayaal se "
" mai..mai maalum karunga "
" koun hai vo, kya naam hai, kaha paaya jaata hai "
Mahatre ne bataya.
-----------------------------------
Neelesh gokhle bus par sawaar hokar khaar pahucha aur aage us sadak par badha jis par achaarya Anne ka dharmandh seva aashram tha.
Achaarya ji Neelesh ke pita ki jindagi me pita ke abhinn mitra the aur tab bhi aur aaj ek arsa pehle ho huki pita ki mout ke baad bhi, Gokhle parivaar ke kul guru ka darja rakhte the. uske swargiya bhai Rajesh gokhle ki Achaarya ji par uske mukaable me kahi jyada nishtha thi, itni ki vo apni jindagi ka koyi bhi aham kaam Achaarya ji se pooche bina nahi karta tha. Rajesh gokhle ek naujawaan, ek nishthavaan, karmath police adhikaari tha jo, uski badkismati thi ki bhai logo ke ek shooter Shivraaj saavant ki kartoot ka chasmdeed gavaah ban gaya tha, usne Daadar ke ek hotel me Dasrath hajaare naam ke ek apne bhai logo se anti narcotics dealer ki laash giraayi thi aur dhuva ugalti gun lekar uske sir par khada tha ki Rajesh vaha pahuch gaya aur naahak apni badkismati se uske khilaaf chasmdeed gavaah ban gaya tha.
khud Neelesh unhi bhai logo ke haatho bika corrupt police vaala tha jisko bhai logo ka hukm hua tha ki vo apne bhai ko gavaahi se roke varna vo jaan se jaayega aur tu bhai se jaayega.
us tamaam high tension drame ka ant ye hua tha ki court me gavaahi dene se pehle hi uska bhai maara gaya tha, final encounter me top bhai Anna Raghu shetty maara gaya tha, uska next in command Sayaji ghosalkar faraar hota giraftaar ho gaya tha, gang ke kayi naamleva mavaali bhi giraftaar ho gaye the aur khud vo Anna Raghu shetty ki goli khaakar baal-baal bacha tha. goli uske kandhe me lagi thi, chaati me lagti to maara jaata. goli ki vajah se kandhe ki haddi buri tarah tooti huyi thi, nateejtan ek hi jagah par teen baar huyi surgery ki vajah se ushe poore paanch mahine hospital me kaatne pade the aur do mahine ghar par poorn swasthya laabh karne me lage the.
saare vaakaye ke baad media ne, khaas tour se Anoop joshi, reporter 'express' ne ushe bada buildup diya tha, usko baakayda hero ki tarah project kiya tha, lekin ain ushi ki vajah se ye baat chupi rehna muhaal ho gaya tha ki asal me vo unhi bhai logo ka bhadva tha, apne bhai ki mout ka badla lene ke liye aakhirkaar vo unke khilaaf ho gaya tha. uska giraftaar hona aur jail jaana ab mahaz waqt ki baat reh gaya tha. khud uske SHO Mahatre ne ushe hospital aakar bataya tha ki ushe kam se kam paanch saal ki lagti jisse bachaav paane ka ek hi tareeka tha ki vo bhai logo ke khilaaf, khaas tour se Sayaji ghoslakar ke khilaaf court approver ban jaata. marta kya na karta ke andaaj se usne vo peshkash kabool ki thi, nateejtan jail jaane se to bach gaya tha lekin naukari se nikaale jaane ki sharmindagi ushe uthaani padi thi, khade pair berojgaar hona ushe kaboolna pada tha.
bakoul Mahatre, vo uska ain sahi kadam tha, paanch saal jail me kaatne ke mukaable me barkhaastgi ki jillat aur berojgaari ki laanat maamuli sazaaye thi.
khud achaarya Anne ne bhi uske us kadam ko sahi thahraaya tha aur saadhuvaad se navaaja tha ki vo apni shuddhi ki, apne prayaschit ki, good son banne ke raaste par tha. Achaarya ji ne ushe subah ka bhoola karaar diya tha jo ki shaam ko ghar louta tha, usko beeti taahi bisaar ke aage ki sudh lene ki raay di thi aur aashvaasan diya tha ki aaj se tumhaara naya jeevan shuru hota hai.
lekin vo tamaam aashajanak, utsaahvardhak baatein manobal uncha karne ke hi kaam ki thi, lokachaar me unki koyi ahmiyat nahi thi, koyi keemat nahi thi, vo ushe kisi sammaanjanak naukari me puanrsthapit karne me sarvada asaksham thi. waqt ke saath log bhool jaate to bhool jaate ki vo police ke mahakme se disgracefully dismissed inspector tha, filhaal to Mumbai shahar me usse aur uski jaat se har koyi vaakif tha. lihaaja har jagah naukari ke liye jaane par usko ek hi jawaab milta tha," abhi koyi vacancy nahi hai, application chhod ke jaana, bolenge "
bolta koyi nahi tha.
uski maujooda something is better than nothing jaisi naukari Bandra ke Pikadali naam ke ek baar me thi jiska kehne ko to vo security officer tha lekin asal me late night hours ke atirikt chust, chaakchouband aur choukas rehne vaala bouncer tha kyonki khoobsurat baarbalao ke liye mashoor us baar me koyi galaata hota tha to raat 10 aur ek baje ke beech me hota tha. upar se aur downgrading baat ye thi ki vo dihadi majdoor tha, mahana tankhvaah par nahi, hajar rupye par rojana vaha par duty karta tha.
" sab din jaat na ek samaan " hontho me budbudaate huve usne aashram me kadam rakha.
aur sanchaalak ka pat lage office me Achaarya ji ke rubaru hua.
usne karbaddh abhivaadan kiya.
" aao " Achaarya ji swagatbhare meethe swar me bole," viraajo "
" dhanyavaad " Neelesh unke saamne ek kursi par baitha.
achaarya Anne aayu me 65 varsh ke choukas tandrusti vaale vyakti the, lambi daadhi, muncch aur kandho tak aane vaale baal rakhte the, bhagva vastra pehante the aur gale me rudraakhsh ki double maala pehante the. unke vyaktitv ka prataap hi aisa tha ki unke saamne padne vaala swayam hi natmastak ho jaata tha.
" kaise aaye " vo muskuraate huve bole," balki pehle bolo ki ab tandurusti kaisi hai "
" theek hai "
" kandha problem nahi karta "
" ab nahi karta "
" ye shubh samachaar hai, ab bolo, kaise aaye "
" swarth laaya "
Achaarya ji ki bhave uthi.
" dishagyaan ki jaroorat laayi "
" hum samjhe nahi "
" mere saamne ek peshkash hai jiski baabat koyi turant, tatpar faisla karne me mai khud ko asaksham paata hu isliye aapki sharan me aaya hu "
" kya peshkash hai "
" peshkash police ke mahakme se hai... "
" jiska ki tum kabhi hissa the "
" ji haan "
" aage badho "
" police ke top boss ki, home ministry tak ki sehamti prapt unka ek bada jaanjokhim vaala project hai jinke liye unki darkaar ek aisa shakhs hai jo police ka apna ho, poore bharose ka ho, poore tareeke se unke control me ho fir bhi jiska kis bhi tareeke se police ke mahakme se koyi rishta na joda jaa sake. jiski padtaal ho to kis doordaraaj ke tareeke se bhi uski koyi kadi police se, ya police jaise kis mahakme se jaise CID, intelligence beauro, special task force se judti na paayi jaaye, jo kisi police ya administrative banking ki ummeed na kare, jo jo kuch bhi kare apne akele ke balboote par kare, lagan se, mehnat se, masshakat se, mukkamal jimmedaari se kare aur kaamyaab hokar dikhaaye. mere ko saaf bola gaya hai ki ye sher ki maand me kadam rakhne jaisa kaam hoga "
To be continued........ part3